Imam Zamana(ajfs) ki khidmat mein aur aap sabko shahadat-e-Zainab(s.a) ki Th'aziyat paysh karthey huwey, chand ash'aar Bibi Zainab (s.a) ki Kidmat mein;
Zindagi ka usool hai Zainab(s.a),
Baaghey ismath ka phool hai Zainab(s.a),
Paasbaney Rasool hai Zainab(s.a).
Qafila saazey zindagi Zainab(s.a),
Kaaba-e-haq ki roshni Zainab(s.a),
Aye alamdar-e-thishnagi Zainab(s.a).
Kulley Imaa'n ka aaina Zainab(s.a),
Ek masoom silsila Zainab(s.a),
Sabr-o-himmat ka qafila Zainab(s.a),
Nao Imaamo'n ki Fathima(sa) Zainab(s.a).
**************************
Tera aansu chiraag-e-wehdath hai,
Tera lehja Ali(a.s) ki zarbath hai,
Tera purda haya ki jannat hai,
Tera har saans ek aayat hai,
Kalma-e-La Ilaha Illallah,
Taaziyanoo'n pe khoon se likha.
