Breaking News
Loading...
22 February 2014

DEBATE ON WILAYAT E IMAM ALI(as)

02:30
DEBATE  ON WILAYAT E IMAM ALI(as)

Mohammmed:  Assalamo alaikum Osman, kaho kaise ho?
Osman:  Wa alaikum salaam Mohammmed Allah ka ehsaan hai, theek hoon, ye itni raat ke waqt kahan se aarahe ho?
Mohammmed:  Ek mehfil-e milaad mein gaya thaa.
Osman: Ye Rajab mein kiski milaad thee?
Mohammmed:  Hamare pehle Imam Hazrat Ali (a) ki milaad.
Osman:  Iska mutlab hai ki tum Shia ho?
Mohammmed:  Al Hamd-o Lillah.
Osman: Yaar tum Shia loag bhi bade ajeeb ho, hazrat Ali (a) ko Rasool(s) se bhi badha dete ho aur Allah ka shukr bhi ada karte ho.
Mohammmed:  Humloag unhein badha nahin dete balki tum loag Rasool (s) ka maqaam cum kerdete ho is liye tumhein aysa mehsoos hota hai.
Osman:  Kya tum loag ye nahin kehte ki unhon ne apna nafs Allah ko baich diya ya ye ki wo momineen ke moula hain ya phir ye ki unki muhabbat wajib hai waghaira waghaira?
Mohammmed: Be shak, hum apni taraf se kuch nahin kehte, jo Allah aur Rasool (s) kehte hain hum bhi wohi kehte hain.
Osman: kya tum ye baat sabit kersakti ho?
Mohammmed: haan
Osman:  kaise? Sirf  tumhari kitabon se ya quraan se bhi?
Mohammmed:  Quraan se aur agar zaroorat ho to tumhari kitabon se bhi.
Osman:  achcha ye bataao ki Allah ne unka nafs kab khareeda thaa? Quraan mein iska zikr kahan hai?
Mohammmed:  Sura-e Baqarah ki aayat No. 207 mein Allah kehta hai " wa min-an-naas-e---" jiska mutlab hai "Aur logon mein wo bhi hain jo apne nafs ko marzi-e parwardigaar ke liye bech dalte hain aur Allah apne bandon per bada mehrbaan hai".Tumhein pata hai ye Aayat kab naazil huwi?
Osman:  Nahin tum hi batao.
Mohammmed:  Jab Macca ke Quraish ne Huzoor(s) ke qatl ka mansooba banake her qabile se aik aik aadmi ko jama kiya, raat ke waqt talwarein leker ghar ko gher liya taaki subha hote hi ander ghus ker Huzoor (s) ko qatl kerdein, Allah ne Jibreel ke zariye Huzoor(s) ko hukm diya ki apne bister per hazrat Ali (a) ko sulaa ker aap Madine chale jayen, Huzoor ne jub ye baat Hazrat Ali(a) ko batayee to unhon ne poocha "kya aap ki jaan buch jaayegi?" Huzoor (s) ne kaha "haan ye Allah ka waada hai", isper hazrat Ali (a) ne shukr ka sajda adaa kiya aur bade aaraam se unke bister per so gaye, Khuda ne Jibraeel aur Mikaaeel se poocha "tum mein se kaun hai jo apne bhai ke liye apni jaan qurbaan kerne ko taiyaar hai?" unmein se koi bhi raazi na huwa, isper khuda ne fakhr karte huwe unhein hukm diya ki wo donon hazrat Ali (a) ki hifazat karein aur ye aayat naazil huwi.
Osman: ye to waqiee badi himmat ki baat hai, achcha ab ye bataao ki unhein mumineen ka wali jo kehte ho isper bhi koi daleel hai?
Mohammmed:  Sura-e Maaida ki aayat No. 55 mein Allah irshad fermata hai "Innamaa waliyokumullah------" jiska mutlab hai " ay Imaan walo tumhara wali to bus Allah hai aur uska Rasool aur wo mumineen jo namaaz qayam karte hain aur haalat-e rukoo mein zakaat dete hain" tumhare mash-hoor mufassir Fakhruddin raazi likhte hain ki ye aayat hazrat Ali(a) ki shaan mein nazil huwi jab aap ne haalat-e rukoo mein apni angothi khairaat kit hi.
Osman:  Chalo yaan tak to theek hai magar tum loag Khalifa aur Jaanasheen_e Rasool (s) kaise kehte ho? Wo to hazrat-e Abu Bakr thay phir unke baad hazrat-e Umar huwe aur---
Mohammmed:  Saara fasaad yahin se shuroo huwa, tumhein pata hai Ghadeer_e Khum per kya huwa?
Osman: nahin tum hi bataao.
Mohammmed: Mekke se Madine ke raaste mein ek maqaam padta hai jiska naam Ghadeer_e Khum hai, jab Huzoor(s) Haj se waapasi mein wahan pahunche tab Jibraeel aayat-e "Balligh" leker nazil huwe, sura-e maaida ki 67 th aayat hai jiska tarjuma ye hai "ay Rasool aap us hukm ko pahuncha dein jo aap ke parwardigaar ki taraf se naazil kiya gaya hai aur agar aap ne ye na kiya to Allah ka koi bhi paigham nahin pahunchaya aur Khuda aapko logon ke sharr we mahfooz rakhega ki Khuda kafiron ki hidayat nahin kerta" jub itna sakht hukm mila jismein ek tanbih bhi thi to Rasool(s) wahin ruk gaye, jo aage badh gaye thay unko wapas bulaya aur peechhe aane walon ka intizar kiya, jub aik laakh chalees hazaar haji jama hogaye to Huzoor (s) ne ek bahut laanba khutba diya phir un se poochha "kya main tumhare ooper khud tum se ziyada ikhtiyar nahin rakhta? Sub ne kaha "be shak ae Allah ke Rasool (s) aap rakhte hain" 3 baar ye iqraar lene ke baad Rasool ne kaha "abhi abhi Jibraeel aaye thay aur unhon ne Allah ka ye paigham diya hai ki mai Ali (a) ko apna Jaanasheen bana doon pus jis jis ka main moula hoon us us ke aaj se ye Ali (a) bhi moula hain" ye kehker Nabi ne donon bazoo pakad ker hazrat Ali (a) ko itna buland kiya ki khud unke peechhe chip gaye aur saare majme ko hazrat Ali (a) ka chehra bhi saf saf dikha diya, phir wahan ek khaima lagaker hazrat Ali ko usmein bithadiya aur tamam logon ko hukm diya ki "Ameerul mumineen" kehker unke haath per bai'at karein aur unhei mubarakbaad dein, hazrat Abu Bakr aur Umar sabse pehle mubarakbaad dene walon mein thay aur unhon ne kaha "mubarak ho ae Abu Talib ke farzand ki aap mere aur tamaam mumineen ke moula ho gaye" uske fouran baad aayat  "al yaum-o akmalto lakum----" naazil huwi yaani deen-e Islaam kaamil ho gaya. Ye qafila teen din tak wahin ruka raha aur hazrat Ali (a) ko mubaraakbaad dene ka slisila jaari raha.
Osman: Ye kaise mumkin hai ki un donon ne mubarakbaad di aur phir usko bhulaa ker khud khalifa ban baithe?
Mohammmed: haan yehi to mushkil hai, jab Rasool (s) ki wafaat ho gaiee aur Imam Ali (a) apne khaas ashaab ki madad se Nabi (s) ke ghusl-o kafan mein lage huwe thay tab ye loag saqif mein jama ho ker khilafat ki taqseem kar rahe thay unmein se koi bhi rasool (s) ke janaze mein shareek nahin thaa.
Osman; agar tum buraa na mano to ek baat kahun?
Mohammmed: kaho.
Osman: aise lagta hai jaise ye sub batein tum shia kitabon se suna rahi ho.
Mohammmed: achcha kiya jo pooch liya, hum shia kabhi bhi sirf apni kitabon se suboot nahin dete, ye saari baatein tumhari kitabon mein bhi moujood hain, Ahmed ibne Hambal, Nisaaiee, Tirmizi, Ibn_e Maaja aur Fakhruddin Raazi jaison ne bhi ye batein likhi hain.
Osman: mere ek dost ke paas Musnad Ahmed Ibne Hambal aur Sahih Tirmizi ke urdu tarjume hain main unmein dekhungi.
Mohammmed: zuroor dekho aur agar doosri kitabon ke tarjume bhi chahiye to main wo bhi laaker doongi.
Osman: theek hai, yaar do ek baatein aur bhi batado.
Mohammmed: poochho.
Osman: Hazrat Ali (a) ki muhabbat ke wajib hone per bhi koi daleel hai tumhare paas?
Mohammmed: haan hai, jab Madine ke kuch ameer loagon ne Huzoor (s) se kaha ki aap ne hum per bada ehsan kiya ki hum gumraah thay aur aap ne humari hidayat ki,ab hum aapko un mehnaton ka ajr dena chahte hain aap jo bhi mangein hum dene ke liye taiyaar hain, maangiye, Huzoor (s) kuch der khamosh rahe, Jibraeel aayat "Qul Laa As-alokum---" leker naazil huwe jiska tarjuma ye hai ki "aap kehdijiye ki main tum se is tableegh-e risalat ka koi ajr nahin chaahta alawa iske ki mere aqruba se mawaddat rakho" jab Huzoor (s) se poochha gaya ki aapke aqruba kaun hain to Huzoor ne farmaya Ali(a) Fatima (a) Hasan (a) aur Husain (a), Kashshaaf, Bahr-al muheet aur Tafseer-e Kabeer mein bhi iska zikr moujood hai, hazrat Ali (a) ke ilm ke barey mein Allah sura-e Yaaseen ki 12th aayat mein irshad farmata hai " Wa Kulla shayin----" Yaani "aur hum ne her shai ko ek roushan Imam mein jama kardiya" yahan roushan Imam se muraad Imam Ali (a) aur unki aulaad mein 11 Imaam hain, iske bhi kuch hawaale chahiye?
Osman: nahin yaar yehi kaafi hai, mu'aaf kerna main ne tumhein kaafi takleef dee.
Mohammmed: nahin ismein takleef  ki kya baat hai? Mujhe khushi hai ki mai tumhare kuch kaam aasaki, kisi waqt bhi aur maaloomaat chaho to bataao main madad karne ke liye taiyaar hoon.
Osman: bahut bahut shukriya Mohammmed Khuda hafiz.
Mohammmed: Khuda hafiz fi hifzillah.